close
maard ego poetry b-updated

Khudi (ego) se door ik dariya hai jaha rehta hu me,
Kyuki befizul gurrane pe kuch na kehta hu me,

Wo ladte jhagadte khud ko mard bulate hai,
Hume dard nahi hota, garv se apne ghao dikhate hai,

Ha me darta hu, darta hu is dariya ko chorrne se,
Apne un naram ehsaaso ka gala ghotne se,

Tera ahm jab sachayi k patharo se koi todta h,
Tu dard chupaye har tukde ko samet k jodta h,

Apne dariya me magan, me ladaiya alag chunta hu sabse,
Maa ne khudi aur khud dari me fark sikhaya tha jabse,

Khudi se door ik dariya hai jaha rehta hu me,
Ise chorrne se darta hu, befizul kuch na kehta hu me,
Kyuki zindagi bhi to aag ka dariya hai aur hume doob k jana h,
Uski har ik lapat se muje mere dariya ne hi bachana h!

Tags : egoemotionshindi poemmotivationalpainpoempoetry

Leave a Reply